Maha Mrityunjaya Mantra ek bahut hi shaktishaali Vedic mantra hai jo Lord Shiva ko samarpit hai. Isse “Death-Conquering Mantra (मृत्यु-विजय मंत्र) ” bhi kaha jata hai. Yeh mantra Rigveda aur Yajurveda mein milta hai aur mana jata hai ki yeh suraksha, swasthya, aur moksha (liberation) deta hai.
ॐ त्र्यम्बकं यजामहे
सुगन्धिं पुष्टिवर्धनम् ।
उर्वारुकमिव बन्धनान्
मृत्योर्मुक्षीय माऽमृतात् ॥
Transliteration:
Om Tryambakam Yajamahe
Sugandhim Pushtivardhanam
Urvarukamiva Bandhanan
Mrityor Mukshiya Maamritat
Yeh mantra Lord Shiva, jo ki “three-eyed” hain, unse prarthana karta hai ki hume maut ke darr se mukti mile, achha swasthya mile, aur aatma ki unnati ho.
Maha Mrityunjaya Mantra ek aadhyatmik kavach hai jo swasthya, suraksha aur mukti pradan karta hai. Iska niyamit jaap aapko shanti, shakti aur Bhagwan Shiva ke ashirwad se bhar deta hai.
Haan, koi bhi vyakti chahe umar ya dharm ke bina is mantra ka jaap shraddha aur samman ke saath kar sakta hai.
Paramparagat roop se 108 baar Rudraksha mala ke saath jaap karna achha hota hai. Lekin 3, 9, 27 ya 54 baar bhi jaap sakte hain.
Subah ka Brahma Muhurta (lagbhag 4-6 baje) sabse shubh mana jata hai, lekin din ke kisi bhi samay jaap kiya ja sakta hai.
Rozana jaap se swasthya sudhar, negative energy doori, mansik shanti aur aadhyatmik pragati hoti hai. Maut ke darr se mukti bhi milti hai.
Haan, snan karke swachh vastra pehen kar mantra jaapne se shuddhata aur dhyan achha hota hai.
Mantra ke jaap se healing mein madad milti hai, par ye doctor ke ilaaj ka badal nahi hai. Dono saath chalana chahiye.
Haan, aap apne parivar ya dost ke liye bhi mantra jap sakte hain, unke swasthya aur suraksha ke liye.
Kisi bhi jagah mantra jap sakte hain, lekin mandir, meditation room, ya Shiva ling ke paas karna adhik shubh mana jata hai.
Varsh Pratipada Utsav | Hindu Nav Varsh | Bhartiya Nav Varsh 2023 Date Indian New…
राष्ट्रीय स्वयंसेवक संघ की प्रार्थना | Namaste Sada Vatsale Maatribhoome | Sangh Prarthana (prayer) | RSS…
ये शहीदों की जय हिन्द बोली लिरिक्स हिंदी में। See the Ye Shahido ki Jai…
थे खेलों लाल गुलाल, होली नित आवे। Rajasthani Holi song The khelo lal gulal holi…
Chandan hai is desh ki mati bhajan lyrics in Hindi and English for download. गीत…
श्री हनुमान चालीसा - Shree Hanuman Chalisa श्री हनुमान चालीसा पाठ - संकट मोचन हनुमान…